
Gaon ka saalana mela... ek aisa mauka jahan Thakur khandaan ki shaan aur shaukat ka danka bajta tha. Magar is baar ka mela kuch alag tha. Gaon walon ki nazrein Aryan aur Priya ki nayi jodi par thi, aur haveli ke andar ek sadiyon purani, ajeeb-o-gareeb parampara ki taiyari chal rahi thi.
Mele mein nikalne se pehle, Priya apne kamre mein aaine ke samne khadi thi. Usne wahi bhari banarasi saree pehni thi, magar uski aankhon mein purani yaadein tair rahi thin. Usne yaad kiya ki kaise har saal wo Vikram (bade bhai) ke saath isi mele mein jati thi.














Write a comment ...