
Haveli mein jashn aur hawas ki raat dhal chuki thi, magar subah hote hi ek naya toofan dehleez par dastak dene wala tha. Rakesh ki maut ko sabne ek hadsa maan liya tha, magar uska bhai, Vikram, jo shehar mein ek badnam wakeel tha, haveli ke raazon ko khodne aa pahuncha tha.
Subah ki pehli kiran ke sath hi ek chamchamati gaadi haveli ke aangan mein ruki. Vikram gaadi se utra—safed kurta, aankhon par kaala chashma, aur haath mein ek purana briefcase. Uska chehra bilkul Rakesh jaisa tha, magar aankhon mein shatirpan kahin zyada tha.














Write a comment ...