
Vardhan haveli ki shorgul aur saazishon se door Aryan Ishani ko lekar Maldives ke ek niji island par pahunch gaya tha yahan sirf neela samundar safed ret aur unka kaanch ka bana ek mehenga villa tha jiske niche se samundar ki lahrein saaf dikhti thin Aryan ne Ishani ke liye ye poora island book kar liya tha taaki koi unke beech na aa sake.
Kabir ne unhein airport par chhoda tha aur jaate-jaate Aryan ko aankh maari thi kyunki wo jaanta tha ki uska bhai wahan business nahi balki apni pyaas bujhane gaya hai villa mein dakhil hote hi Aryan ne Ishani ko apni baahon mein utha liya aur seedha vishal balcony par le gaya jahan samundar ki thandi hawa unke jismon se takra rahi thi














Write a comment ...