
Lucknow ki fazaon mein aaj gulabon ki mehak aur shahnaiyon ki goonj thi. Hashmi Haveli ke aangan ko naye resham aur phoolon se sajaya gaya tha. Mauka tha Zoya ke judwa bacchon Nawabzada Zaryan aur Shahzadi Zoyaal ke Aqeeqa ka. Lucknow ke bade-bade Nawab aur Begumein is shahi jashn mein shirkat karne aaye the.
Zoya ab poori tarah sehtmand ho chuki thi. Uska badan pregnancy ke baad aur bhi zyada bhara-bhara aur nasheela lag raha tha. Afreen, Meher aur Sarah ne milkar apni choti behen ko shahi dulhan ki tarah sajaya tha. Zoya ne hare rang ka sharara pehna tha jis par sone ka kaam kiya gaya tha.

















Write a comment ...