
Haveli ke deewar ab ek nayi khamoshi aur ehtiyat ke gawah ban rahe the. Meher ki pregnancy ki khabar ne paanchon bhaiyon ke rawayye mein ek ajeeb sa badlav la diya tha. Jahan pehle sirf hawas ka nishana tha, ab wahan ek shahi waaris ki parwarish ka junoon sawar ho gaya tha.
Meher apne kamre mein naram gaddon par leti hui thi jab Vikram ne kamre mein dakhil hokar sabko hairan kar diya. Uske hathon mein sone ka ek katora tha jisme garam doodh aur kesar ki mehak uth rahi thi. Vikram ne Meher ke sar ke neeche takiya sahi kiya aur behadd narmaayi se uske baalon ko sehlaane laga.




















Write a comment ...