
Mukti Gram mein Haldi koi sadharan rasam nahi thi. Sheharon mein haldi sirf chehre par lagayi jati hai, magar yahan ise Peet snan kaha jata tha. Yeh mard aur aurat ke jism ko puri tarah garam karne aur unhe aane wali raat ke liye taiyar karne ka ek tarika tha.
Maidan ke beechon beech mitti ka ek bada haund banaya gaya tha, jisme haldi, kachha doodh, shehad aur kuch naseeli jadibootiyan milayi gayi thin. Mukti aur Vikram ko is haund ke samne bulaya gaya.




















Write a comment ...