
Suryavanshi haveli mein Holi aur uske baad ki nasheeli raaton ka asar ab rang laane laga tha. Haveli ki fizaon mein ek nayi ummeed aur khushbu ghul gayi thi. Sabki nazrein Avni par thin, jo pichle kuch dinon se thodi sust aur badli badli si lag rahi thi.
Subah ka waqt tha. Meera rasoi mein kuch bana rahi thi, tabhi Avni wahan aayi aur use achanak chakkar aane lage. Uska chehra peela pad gaya tha. Meera ne turant Avni ko sambhala aur use kursi par bithaya.




















Write a comment ...