
Subah hote hi Mehra Niwas mein ek baar phir aisi comedy shuru hui ke Arjun ko samajh nahi aa raha tha ke woh hanse ya apna sar deewar par maare. Diya ki masoomiyat ne aaj phir ek naya hungama khara kar diya tha.
Subah jab suraj ki pehli kiran kamre mein aayi, toh Diya ne aankhein kholi. Use yaad aaya ke kal raat Sheru aur Kitty ki kitni gehri dosti hui thi. Usne dhire se chadar ke andar hath daala, magar wahan sab khali tha. Arjun us waqt bathroom mein brush kar raha tha.




















Write a comment ...