
Ghar ke mahoul mein ab ek ajeeb si khamoshi aur muskurahat ghul gayi thi. Diya ki masoomiyat ne ghar ke har kone mein ek naya rang bhar diya tha, magar bade budhe sab samajh rahe the ke band kamre ke peeche Arjun aur Diya ke beech ek naya aur gehra rishta panap raha hai.
Nashte ke baad jab Diya Mummy ke saath kitchen mein choti choti rotiyan banane chali gayi, toh Ishaan ne mauka dekh kar Arjun ko garden mein gher liya. Arjun wahan khada thandi hawa ka lutf le raha tha ke achanak Ishaan uske kandhe par hath rakh kar khada ho gaya.




















Write a comment ...